Vartaman Vaishvik Pariprekshya Mein Shiksha Mein Moolyon Ka Mahatva Evam Moolya Dvand
DOI:
https://doi.org/10.5281/zenodo.23009239Keywords:
vartmaan vaishvik pariprekshya mein shiksha, mulya, mulyon ka mahatv, mulya dwandAbstract
Manushya jis samaj mein rehta hai, usmein uske aadarsh aachar-vichar hi moolya kehlaate hain. Moolyon ki pratishtha samaj mein tab prabhavi aur anukaraniya ho jaati hai, jab unka kriyaatmak swaroop drishyamaan hota hai. Shiksha tatha moolya ek-doosre se maanav sabhyata ke anaadikaal se hi sah-sambandhit hain. Moolya hi shikshit samaj ke utthaan va patan ka nirdhaaran karte hain. Manushya sabhyata ke anaadikaal se hi apne astitva ke vikaas tatha parimaarjan ke liye prayatnrat raha hai. Sadaiv usne saadharan se achchha tatha achchhe se behtar ke liye apne parishram tatha buddhi ko disha di hai. Inhi se usne apne andar sadgunon ka vikaas tatha duspravrittiyon ka parimaarjan kiya hai. Aadhunik kaal ke chintan mein aaj bhi Bharatiya praacheen sabhyata aur sanskriti ka viniyog nirantar bana hua hai. Anaadikaaleen parampara se maanav-jeevan ke samagra kshetra mein vyaapt, aachaar-vichaar pranali athva satya aur nyaay vyavastha par aadharit gun-dharm, jinke sahaj anupaalan se samaj mein vishamata ke sthaan par samata, priyata aur ekta ka vaataavaran nirmit ho, moolya pranali ke antargat aata hai.
Downloads
Published
Issue
Section
License
Copyright (c) 2026 Author(s)

This work is licensed under a Creative Commons Attribution 4.0 International License.

